Wednesday, 14 February 2018

Ajnabi Sham by Jaun Elia [Poetry Recital]



Nazm: Ajnabi Sham
Poet: Jaun Elia
Book: Shayad
Voice: Abu Turab Naqvi

Transcript:

Ajnabi Sham

dhundh chhaii huii hai jheelon par
ud rahey hain parind teelon par
sab ka rukh hai nashemanon ki taraf
bastiyon ki taraf, banon ki taraf

apne gallon ko leke charwahe
sarhadi bastiyon mein ja pohnche
dil e nakam main kahan jaaun?
ajnabi sham main kahan jaaun?

Sunday, 11 February 2018

Zahn o dil mein ubhar raha hai koi (Ghazal)


zahn o dil mein ubhar raha hai koi
kya mujhe yaad kar raha hai koi?

ज़्हनो दिल में उभर रहा है कोई
क्या  मुझे याद  कर  रहा  है  कोई

phir se kuch naqshhaye gham hain ayan
dasht e dil se guzar raha hai koi

फिर से कुछ नक़्शहाए ग़म  हैं अयां
दश्ते  दिल से गुज़र  रहा है कोई 

 shor hai shor qatl hone kaa
kya khuda se mukar raha hai koi?

शोर  है  शोर  है  क़त्ल होने का
क्या ख़ुदा से मुकर रहा है कोई

main to paigham le ke aaya hun
kis liye mujhse dar raha hai koi

मैं तो पैग़ाम ले के आया था
किस लिए मुझ से दर रहा है कोई

Thursday, 8 February 2018

Ghazal: Chaand raaton ke ratjagey or main


chaand raaton ke ratjagey or main
uski yadon ke silsiley or main

चाँद रातों के रतजगे और मैं
उसकी यादों के सिलसिले और मैं

dheemi dheemi si uskey qurb ki lau
paas jaltey hue diye or main

धीमी धीमी सी उसके कुर्ब* की लौ
पास जलते हुए दिये और मैं

*(पास होना, क़रीब होना)

baat karti hui si khamoshi
gung lafzon ke qafle or main